dil par jo zakhm hain wo dikhaaen kisi ko kya
— Habib Jalib
Dil par jo zakhm hain wo dikhaa.en kisee ko kya
Apnaa shareek-e-dard banaa.en kisee ko kya
Har shakhs apne apne ghamon men hai mubtalaa
Zindaan men apne saath rulaa.en kisee ko kya
BichhDe hue wo yaar wo chhoDe hue dayaar
Rah rah ke ham ko yaad jo aa.en kisee ko kya
Rone ko apne haal pe tanhaa.ee hai bahut
Is anjuman men khud pe hansaa.en kisee ko kya
Vo baat chheD jis men jhalaktaa ho sab kaa gham
Yaaden kisee kee tujh ko sataa.en kisee ko kya
So.e hue hain log to honge sukoon se
Ham jaagne kaa rog lagaa.en kisee ko kya
'jaalib' na aa.egaa koi ahvaal poochhne
Den shahr-e-be-hisaan men sadaa.en kisee ko kya
Dil par jo zaKHm hain wo dikhaen kisi ko kya
Apna sharik-e-dard banaen kisi ko kya
Har shaKHs apne apne ghamon mein hai mubtala
Zindan mein apne sath rulaen kisi ko kya
BichhDe hue wo yar wo chhoDe hue dayar
Rah rah ke hum ko yaad jo aaen kisi ko kya
Rone ko apne haal pe tanhai hai bahut
Is anjuman mein KHud pe hansaen kisi ko kya
Wo baat chheD jis mein jhalakta ho sab ka gham
Yaaden kisi ki tujh ko sataen kisi ko kya
Soe hue hain log to honge sukun se
Hum jagne ka rog lagaen kisi ko kya
'jalib' na aaega koi ahwal puchhne
Den shahr-e-be-hisan mein sadaen kisi ko kya