ek yaad kachche aangan kaa wo ghar wo baam o dar
— Habib Jalib
Kachche aangan kaa wo ghar wo baam-o-dar
Gaanv kee pagDanDiyaan wo rahguzar
Vo nadee kaa surma.ee paanee shajar
Jaa nahin saktaa bajaa un tak magar
Saamne rahte hain wo shaam-o-sahar
Kachche aangan ka wo ghar wo baam-o-dar
Ganw ki pagDanDiyan wo rahguzar
Wo nadi ka surmai pani shajar
Ja nahin sakta baja un tak magar
Samne rahte hain wo sham-o-sahar