faiz aur faiz kaa gam bhuulne vaalaa hai kahiin
— Habib Jalib
'faiz' aur 'faiz' kaa gham bhoolne vaalaa hai kaheen
Maut ye teraa sitam bhoolne vaalaa hai kaheen
Ham se jis waqt ne wo shaah-e-sukhan chheen liyaa
Ham ko wo waqt-e-alam bhoolne vaalaa hai kaheen
Tire ashk aur bhee chamkaa.engee yaaden us kee
Ham ko wo deeda-e-nam bhoolne vaalaa hai kaheen
Kabhee zindaan men kabhi duur vatan se ai dost
Jo kiyaa us ne raqam bhoolne vaalaa hai kaheen
Aakhiree baar use dekh na paa.e 'jaalib'
Ye muqaddar kaa sitam bhoolne vaalaa hai kaheen
'faiz' aur 'faiz' ka gham bhulne wala hai kahin
Maut ye tera sitam bhulne wala hai kahin
Hum se jis waqt ne wo shah-e-suKHan chhin liya
Hum ko wo waqt-e-alam bhulne wala hai kahin
Tere ashk aur bhi chamkaengi yaaden us ki
Hum ko wo dida-e-nam bhulne wala hai kahin
Kabhi zindan mein kabhi dur watan se ai dost
Jo kiya us ne raqam bhulne wala hai kahin
AaKHiri bar use dekh na pae 'jalib'
Ye muqaddar ka sitam bhulne wala hai kahin