ham aavaara gaanv gaanv bastii bastii phirne vaale
— Habib Jalib
Ham aavaara gaanv gaanv bastee bastee phirne vaale
Ham se priit baDhaa kar koi muft men kyuun gham ko apna le
Ye bheegee bheegee barsaaten ye mahtaab ye raushan raaten
Dil hee na ho to jhooTee baaten kya andhiyaare kya ujiyaale
Ghunche ro.en kaliyaan ro.en ro ro apnee aankhen kho.en
Chain se lambee taan ke so.en is phulvaaree ke rakhvaale
Dard-bhare geeton kee maalaa japte japte jeevan guzraa
Kis ne sunee hain kaun sunegaa dil kee baaten dil ke naale
Hum aawara ganw ganw basti basti phirne wale
Hum se prit baDha kar koi muft mein kyun gham ko apna le
Ye bhigi bhigi barsaten ye mahtab ye raushan raaten
Dil hi na ho to jhuTi baaten kya andhiyare kya ujiyale
Ghunche roen kaliyan roen ro ro apni aankhen khoen
Chain se lambi tan ke soen is phulwari ke rakhwale
Dard-bhare giton ki mala japte japte jiwan guzra
Kis ne suni hain kaun sunega dil ki baaten dil ke nale