jaagne vaalo taa ba sahar khaamosh raho
— Habib Jalib
Jaagne vaalo taa-ba-sahar khaamosh raho
Kal kya hogaa kis ko khabar khaamosh raho
Kis ne sahar ke paanv men zanjeeren Daaleen
Ho jaa.egee raat basar khaamosh raho
Shaayad chup rehne men izzat rah jaa.e
Chup hee bhalee ai ahl-e-nazar khaamosh raho
Qadam qadam par pahre hain in raahon men
Daar-o-rasan kaa hai ye nagar khaamosh raho
Yuun bhee kahaan be-taabi-e-dil kam hotee hai
Yuun bhee kahaan aaraam magar khaamosh raho
Sher kee baaten khatm huiin is aalam men
Kaisaa 'josh' aur kis kaa 'jigar' khaamosh raho
Jagne walo ta-ba-sahar KHamosh raho
Kal kya hoga kis ko KHabar KHamosh raho
Kis ne sahar ke panw mein zanjiren Dalin
Ho jaegi raat basar KHamosh raho
Shayad chup rehne mein izzat rah jae
Chup hi bhali ai ahl-e-nazar KHamosh raho
Qadam qadam par pahre hain in rahon mein
Dar-o-rasan ka hai ye nagar KHamosh raho
Yun bhi kahan be-tabi-e-dil kam hoti hai
Yun bhi kahan aaram magar KHamosh raho
Sher ki baaten KHatm huin is aalam mein
Kaisa 'josh' aur kis ka 'jigar' KHamosh raho