jiivan mujh se main jiivan se sharmaataa hoon

Habib Jalib

Jeevan mujh se main jeevan se sharmaataa hoon Mujh se aage jaane vaalo men aataa hoon Jin kee yaadon se raushan hain meree aankhen Dil kahtaa hai un ko bhee main yaad aataa hoon Sur se saanson kaa naataa hai toDoon kaise Tum jalte ho kyuun jiitaa hoon kyuun gaataa hoon Tum apne daaman men sitaare baith ke Taanko Aur main na.e baran lafzon ko pahnaataa hoon Jin khawabon ko dekh ke main ne jiinaa seekhaa Un ke aage har daulat ko Thukraataa hoon Zahr ugalte hain jab mil kar dunya vaale MeeThe bolon kee vaadee men kho jaataa hoon 'jaalib' mere sher samajh men aa jaate hain Isee liye kam-rutba shaa.er kahlaataa hoon Jiwan mujh se main jiwan se sharmata hun Mujh se aage jaane walo mein aata hun Jin ki yaadon se raushan hain meri aankhen Dil kahta hai un ko bhi main yaad aata hun Sur se sanson ka nata hai toDun kaise Tum jalte ho kyun jita hun kyun gata hun Tum apne daman mein sitare baith ke Tanko Aur main nae baran lafzon ko pahnata hun Jin KHwabon ko dekh ke main ne jina sikha Un ke aage har daulat ko Thukraata hun Zahr ugalte hain jab mil kar duniya wale MiThe bolon ki wadi mein kho jata hun 'jalib' mere sher samajh mein aa jate hain Isi liye kam-rutba shaer kahlata hun