kabhi to mehrbaan ho kar bulaa len
— Habib Jalib
Kabhi to mehrbaan ho kar bulaa len
Ye mahvash ham faqeeron kee duaa len
Na jaane phir ye rut aa.e na aa.e
Javaan phoolon kee kuch khushboo churaa len
Bahut ro.e zamaane ke liye ham
Zaraa apne liye aansoo bahaa len
Ham un ko bhoolne vaale nahin hain
Samajhte hain gham-e-dauraan kee chaalen
Hamaaree bhee sambhal jaa.egee haalat
Vo pahle apnee zulfen to sambhaalen
Nikalne ko hai wo mahtaab ghar se
Sitaaron se kaho nazren jhukaa len
Ham apne raaste par chal rahe hain
Janaab-e-shaikh apna raasta len
Zamaana to yoonhee rooThaa rahegaa
Chalo 'jaalib' unhen chal kar manaa len
Kabhi to mehrban ho kar bula len
Ye mahwash hum faqiron ki dua len
Na jaane phir ye rut aae na aae
Jawan phulon ki kuch KHushbu chura len
Bahut roe zamane ke liye hum
Zara apne liye aansu baha len
Hum un ko bhulne wale nahin hain
Samajhte hain gham-e-dauran ki chaalen
Hamari bhi sambhal jaegi haalat
Wo pahle apni zulfen to sambhaalen
Nikalne ko hai wo mahtab ghar se
Sitaron se kaho nazren jhuka len
Hum apne raste par chal rahe hain
Janab-e-shaiKH apna rasta len
Zamana to yunhi ruTha rahega
Chalo 'jalib' unhen chal kar mana len