kahiin aah ban ke lab par tiraa naam aa na jaae

Habib Jalib

Kaheen aah ban ke lab par tiraa naam aa na jaa.e Tujhe bevafaa kahoon main wo maqaam aa na jaa.e Zaraa zulf ko sambhaalo miraa dil dhaDak raha hai Koee aur taa.ir-e-dil tah-e-daam aa na jaa.e Jise sun ke Toot jaa.e miraa aarzoo bharaa dil Tiree anjuman se mujh ko wo payaam aa na jaa.e Vo jo manzilon pe laa kar kisee ham-safar ko looTen Unheen rahzanon men teraa kaheen naam aa na jaa.e Isee fikr men hain ghaltaan ye nizaam-e-zar ke bande Jo tamaam-e-zindagee hai wo nizaam aa na jaa.e Ye mah o nujoom hans len mire aansuon pe 'jaalib' Miraa maahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaa.e Kahin aah ban ke lab par tera nam aa na jae Tujhe bewafa kahun main wo maqam aa na jae Zara zulf ko sambhaalo mera dil dhaDak raha hai Koi aur tair-e-dil tah-e-dam aa na jae Jise sun ke TuT jae mera aarzu bhara dil Teri anjuman se mujh ko wo payam aa na jae Wo jo manzilon pe la kar kisi ham-safar ko luTen Unhin rahzanon mein tera kahin nam aa na jae Isi fikr mein hain ghaltan ye nizam-e-zar ke bande Jo tamam-e-zindagi hai wo nizam aa na jae Ye mah o nujum hans len mere aansuon pe 'jalib' Mera mahtab jab tak lab-e-baam aa na jae