kaun bataae kaun sujhaae kaun se des sidhaar gae
— Habib Jalib
Kaun bataa.e kaun sujhaa.e kaun se des sidhaar ga.e
Un kaa rasta takte takte nain hamaare haar ga.e
KaanTon ke dukh sahne men taskeen bhee thee aaraam bhee tha
Hansne vaale bhole-bhaale phuul chaman ke maar ga.e
Ek lagan kee baat hai jeevan ek lagan hee jeevan hai
Poochh na kya khoyaa kya paayaa kya jiite kya haar ga.e
Aane vaalee barkhaa dekhen kya dikhlaa.e aankhon ko
Ye barkhaa barsaate din to bin pireetam be-kaar ga.e
Jab bhee lauTe pyaar se lauTe phuul na paa kar gulshan men
Bhanvre amrit ras kee dhun men pal pal sau sau baar ga.e
Ham se poochho saahil vaalo kya biitee dukhiyaaron par
Khevan-haare biich bhanvar men chhoD ke jab us paar ga.e
Kaun batae kaun sujhae kaun se des sidhaar gae
Un ka rasta takte takte nain hamare haar gae
KanTon ke dukh sahne mein taskin bhi thi aaram bhi tha
Hansne wale bhole-bhaale phul chaman ke mar gae
Ek lagan ki baat hai jiwan ek lagan hi jiwan hai
Puchh na kya khoya kya paya kya jite kya haar gae
Aane wali barkha dekhen kya dikhlae aankhon ko
Ye barkha barsate din to bin piritam be-kar gae
Jab bhi lauTe pyar se lauTe phul na pa kar gulshan mein
Bhanwre amrit ras ki dhun mein pal pal sau sau bar gae
Hum se puchho sahil walo kya biti dukhiyaron par
Khewan-haare bich bhanwar mein chhoD ke jab us par gae