khuda hamaaraa hai
— Habib Jalib
Khuda tumhaaraa nahin hai khuda hamaaraa hai
Use zameen pe ye zulm kab gavaaraa hai
Lahoo piyoge kahaan tak hamaaraa dhanvaano
BaDhaao apnee dukaan seem-o-zar ke deevaano
Nishaan kaheen na rahegaa tumhaaraa shaitaano
Hamen yaqeen hai ki insaan us ko pyaaraa hai
Khudaa tumhaaraa nahin hai khuda hamaaraa hai
Use zameen pe ye zulm kab gavaaraa hai
Na.e shu.oor kee hai raushnee nigaahon men
Ik aag see bhee hai ab apnee sard aahon men
Khilenge phuul nazar ke sahar kee baanhon men
Dukhe dilon ko isee aas kaa sahaaraa hai
Khudaa tumhaaraa nahin hai khuda hamaaraa hai
Use zameen pe ye zulm kab gavaaraa hai
Tilism-e-saaya-e-khauf-o-haraas toDenge
Qadam baDhaa.enge zanjeer-e-yaas toDenge
Kabhee kisee ke na ham dil kee aas toDenge
Rahegaa yaad jo ahd-e-sitam guzaaraa hai
Use zameen pe ye zulm kab gavaaraa hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
Use zamin pe ye zulm kab gawara hai
Lahu piyoge kahan tak hamara dhanwano
BaDhao apni dukan sim-o-zar ke diwano
Nishan kahin na rahega tumhaara shaitano
Hamein yaqin hai ki insan us ko pyara hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
Use zamin pe ye zulm kab gawara hai
Nae shuur ki hai raushni nigahon mein
Ek aag si bhi hai ab apni sard aahon mein
Khilenge phul nazar ke sahar ki banhon mein
Dukhe dilon ko isi aas ka sahaara hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
Use zamin pe ye zulm kab gawara hai
Tilism-e-saya-e-KHauf-o-haras toDenge
Qadam baDhaenge zanjir-e-yas toDenge
Kabhi kisi ke na hum dil ki aas toDenge
Rahega yaad jo ahd-e-sitam guzara hai
Use zamin pe ye zulm kab gawara hai