khuub aazaadii e sahaafat hai
— Habib Jalib
Khuub aazaadee-e-sahaafat hai
Nazm likhne pe bhee qayaamat hai
Da.avaa jamhooriyat kaa hai har-aan
Ye hukoomat bhee kya hukoomat hai
Dhaandlee dhons kee hai paidaavaar
Sab ko ma.aloom ye haqeeqat hai
Khauf ke zehn-o-dil pe saa.e hain
Kis kee izzat yahaan salaamat hai
Kabhee jamhooriyat yahaan aa.e
Yahee 'jaalib' hamaaree hasrat hai
KHub aazadi-e-sahafat hai
Nazm likhne pe bhi qayamat hai
Dawa jamhuriyat ka hai har-an
Ye hukumat bhi kya hukumat hai
Dhandli dhons ki hai paidawar
Sab ko malum ye haqiqat hai
KHauf ke zehn-o-dil pe sae hain
Kis ki izzat yahan salamat hai
Kabhi jamhuriyat yahan aae
Yahi 'jalib' hamari hasrat hai