laayal puur
— Habib Jalib
Laayal-poor ik shahr hai jis men dil hai miraa aabaad
DhaDkan dhaDkan saath rahegee us bastee kee yaad
MeeThe bolon kee wo nagree geeton kaa sansaar
Hanste-baste haa.e wo raste naghma-rez dayaar
Vo galiyaan wo phuul wo kaliyaan rang-bhare baazaar
Main ne un galiyon phoolon kaliyon se kiyaa hai pyaar
Barg-e-aavaara men bikhree hai jis kee roodaad
Laayal-poor ik shahr hai jis men dil hai miraa aabaad
Koee nahin tha kaam mujhe phir bhee tha kitnaa kaam
Un galiyon men phirte rahnaa din ko karnaa shaam
Ghar ghar mere sher ke charche ghar ghar men badnaam
Raaton ko dahleezon pe hee kar lenaa aaraam
Dukh sahne men chup rehne men dil tha kitnaa shaad
Laayal-poor ik shahr hai jis men dil hai miraa aabaad
Main ne us nagree rah kar kya kya giit likhe
Jin ke kaaran logon ke man men hai meree priit
Ek lagan kee baat hai jeevan kaisee haar aur jiit
Sab se mujh ko pyaar hai 'jaalib' sab hain mere miit
Daad to un kee yaad hai mujh ko bhuul gaya be-daad
Laayal puur ik shahr hai jis men dil hai miraa aabaad
Layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
DhaDkan dhaDkan sath rahegi us basti ki yaad
MiThe bolon ki wo nagri giton ka sansar
Hanste-baste hae wo raste naghma-rez dayar
Wo galiyan wo phul wo kaliyan rang-bhare bazar
Main ne un galiyon phulon kaliyon se kiya hai pyar
Barg-e-awara mein bikhri hai jis ki rudad
Layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
Koi nahin tha kaam mujhe phir bhi tha kitna kaam
Un galiyon mein phirte rahna din ko karna sham
Ghar ghar mere sher ke charche ghar ghar mein badnam
Raaton ko dahlizon pe hi kar lena aaram
Dukh sahne mein chup rehne mein dil tha kitna shad
Layal-pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad
Main ne us nagri rah kar kya kya git likhe
Jin ke karan logon ke man mein hai meri prit
Ek lagan ki baat hai jiwan kaisi haar aur jit
Sab se mujh ko pyar hai 'jalib' sab hain mere mit
Dad to un ki yaad hai mujh ko bhul gaya be-dad
Layal pur ek shahr hai jis mein dil hai mera aabaad