malka e tarannum nuur e jahaan ki nazr nagma bhi hai udaas to sar bhi hai be amaan

Habib Jalib

Naghma bhee hai udaas to sar bhee hai be-amaan Rahne do kuch to nuur andheron ke darmiyaan Ik umr jis ne chain diyaa is jahaan ko Lene do sukh kaa saans use bhee sar-e-jahaan Tayyaar kaun hai jo mujhe baazuon men le Ik ye navaa na ho to kaho jaaon main kahaan Agle jahaan se mujh ko yahee ikhtilaaf hai Ye sooraten ye giit sadaa.en kahaan vahaan Ye hai azal se aur rahegaa ye taa-abad Tum se na jal sakegaa tarannum kaa aashiyaan Naghma bhi hai udas to sar bhi hai be-aman Rahne do kuch to nur andheron ke darmiyan Ek umr jis ne chain diya is jahan ko Lene do sukh ka sans use bhi sar-e-jahan Tayyar kaun hai jo mujhe bazuon mein le Ek ye nawa na ho to kaho jaun main kahan Agle jahan se mujh ko yahi iKHtilaf hai Ye suraten ye git sadaen kahan wahan Ye hai azal se aur rahega ye ta-abad Tum se na jal sakega tarannum ka aashiyan