miir o gaalib bane yagaanaa bane
— Habib Jalib
'meer'-o-'ghaalib' bane 'yagaanaa' bane
Aadmee ai khuda khuda na bane
Maut kee dastaras men kab se hain
Zindagee kaa koi bahaana bane
Apnaa shaayad yahee tha jurm ai dost
Baa-wafa ban ke be-wafa na bane
Ham pe ik e'tiraaz ye bhee hai
Be-navaa ho ke be-navaa na bane
Ye bhee apna qusoor kya kam hai
Kisee qaatil ke ham-navaa na bane
Kyaa gila sang-dil zamaane kaa
Aashnaa hee jab aashnaa na bane
ChhoD kar us galee ko ai 'jaalib'
Ik haqeeqat se ham fasaana bane
'mir'-o-'ghaalib' bane 'yagana' bane
Aadmi ai KHuda KHuda na bane
Maut ki dastaras mein kab se hain
Zindagi ka koi bahana bane
Apna shayad yahi tha jurm ai dost
Ba-wafa ban ke be-wafa na bane
Hum pe ek e'tiraaz ye bhi hai
Be-nawa ho ke be-nawa na bane
Ye bhi apna qusur kya kam hai
Kisi qatil ke ham-nawa na bane
Kya gila sang-dil zamane ka
Aashna hi jab aashna na bane
ChhoD kar us gali ko ai 'jalib'
Ek haqiqat se hum fasana bane