miiraa ji giit kya kya likh gaya kya kya fasaane kah gaya

Habib Jalib

Giit kya kya likh gaya kya kya fasaane kah gaya Naam yoonhee to nahin us kaa adab men rah gaya Ek tanhaa.ee rahi us kee anees-e-zindagee Kaun jaane kaise kaise dukh wo tanhaa sah gaya Soz 'meeraa' kaa milaa jee ko to meeraa-jee banaa Dil-nasheen likkhe sukhan aur dhaDkanon men rah gaya Dard jitnaa bhee use bedard dunya se milaa Shaa.eree men Dhal gaya kuch aansuon men bah gaya Ik na.ee chhab se jiyaa wo ik ajab Dhab se jiyaa Aankh uThaa kar jis ne dekhaa dekhtaa hee rah gaya Us se aage koi bhee jaane nahin paayaa abhee Naqsh ban ke rah gaya jo us kee rau men bah gaya Git kya kya likh gaya kya kya fasane kah gaya Nam yunhi to nahin us ka adab mein rah gaya Ek tanhai rahi us ki anis-e-zindagi Kaun jaane kaise kaise dukh wo tanha sah gaya Soz 'mira' ka mila ji ko to mira-ji bana Dil-nashin likkhe suKHan aur dhaDkanon mein rah gaya Dard jitna bhi use bedard duniya se mila Shaeri mein Dhal gaya kuch aansuon mein bah gaya Ek nai chhab se jiya wo ek ajab Dhab se jiya Aankh uTha kar jis ne dekha dekhta hi rah gaya Us se aage koi bhi jaane nahin paya abhi Naqsh ban ke rah gaya jo us ki rau mein bah gaya