nazm khatra hai zardaaron ko
— Habib Jalib
Khatra hai zardaaron ko
Girtee huee deevaaron ko
Sadiyon ke beemaaron ko
Khatre men islaam nahin
Saaree zameen ko ghere hue hain
Aakhir chand gharaane kyon
Naam nabee kaa lene vaale
Ulfat se begaane kyon
Khatra hai khoon-khvaaron ko
Rang-birangee caron ko
America ke pyaaron ko
Khatre men islaam nahin
Aaj hamaare naa'ron se
Larzaa hai bapaa aivaanon men
Bik na sakenge hasrat-o-armaan
Oonchee sajee dukaanon men
Khatra hai baT-maaron ko
Maghrib ke baazaaron ko
Choron ko makkaaron ko
Khatre men islaam nahin
Amn kaa parcham le kar uTTho
Har insaan se pyaar karo
Apnaa to manshoor hai 'jaalib'
Saare jahaan se pyaar karo
Khatra hai darbaaron ko
Shaahon ke gham-khvaaron ko
Navvaabon ghaddaaron ko
Khatre men islaam nahin
KHatra hai zardaron ko
Girti hui diwaron ko
Sadiyon ke bimaron ko
KHatre mein islam nahin
Sari zamin ko ghere hue hain
AaKHir chand gharane kyon
Nam nabi ka lene wale
Ulfat se begane kyon
KHatra hai KHun-KHwaron ko
Rang-birangi caron ko
America ke pyaron ko
KHatre mein islam nahin
Aaj hamare na'ron se
Larza hai bapa aiwanon mein
Bik na sakenge hasrat-o-arman
Unchi saji dukanon mein
KHatra hai baT-maron ko
Maghrib ke bazaron ko
Choron ko makkaron ko
KHatre mein islam nahin
Amn ka parcham le kar uTTho
Har insan se pyar karo
Apna to manshur hai 'jalib'
Sare jahan se pyar karo
KHatra hai darbaron ko
Shahon ke gham-KHwaron ko
Nawwabon ghaddaron ko
KHatre mein islam nahin