niilo tuu ki naa vaaqif e aadaab e shahanshaahii thii
— Habib Jalib
Too ki naa-vaaqif-e-aadaab-e-shahanshaahee thee
Raqs zanjeer pahan kar bhee kiyaa jaataa hai
Tujh ko inkaar kee jur.at jo huee to kyoonkar
Saaya-e-shaah men is tarah jiyaa jaataa hai
Ahl-e-sarvat kee ye tajveez hai sarkash laDkee
Tujh ko darbaar men koDon se nachaayaa jaa.e
Naachte naachte ho jaa.e jo paa.el khaamosh
Phir na taa-zeest tujhe hosh men laayaa jaa.e
Log is manzar-e-jaankaah ko jab dekhenge
Aur baDh jaa.egaa kuch satvat-e-shaahee kaa jalaal
Tere anjaam se har shakhs ko ibrat hogee
Sar uThaane kaa re.aayaa ko na aa.egaa khayaal
Tab-e-shaahaana pe jo log giraan hote hain
Haan unhen zahr bharaa jaam diyaa jaataa hai
Too ki naa-vaaqif-e-aadaab-e-shahanshaahee thee
Raqs zanjeer pahan kar bhee kiyaa jaataa hai
Tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi
Raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai
Tujh ko inkar ki jurat jo hui to kyunkar
Saya-e-shah mein is tarah jiya jata hai
Ahl-e-sarwat ki ye tajwiz hai sarkash laDki
Tujh ko darbar mein koDon se nachaya jae
Nachte nachte ho jae jo pael KHamosh
Phir na ta-zist tujhe hosh mein laya jae
Log is manzar-e-jaankah ko jab dekhenge
Aur baDh jaega kuch satwat-e-shahi ka jalal
Tere anjam se har shaKHs ko ibrat hogi
Sar uThane ka reaya ko na aaega KHayal
Tab-e-shahana pe jo log giran hote hain
Han unhen zahr bhara jam diya jata hai
Tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi
Raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai