salaam logo salaam ai dil figaar logo
— Habib Jalib
Salaam ai dil-figaar logo
Salaam ai ashk-baar logo
Tumhee ne apna vatan bachaayaa
Tumhee ne baatil kaa sar jhukaayaa
Bujhaa ke sham-e-hayaat apnee
Vafaa kee raahon ko jagmagaayaa
Magar ye dil ro ke kah raha hai
Lahoo tumhaaraa na rang laayaa
Vahee hai shab kaa hisaar logo
Salaam ai ashk-baar logo
Gulon kee vaadee lahoo lahoo hai
Fughaan kee awaaz chaar-soo hai
Hain is qadar tishna-kaam mai-kash
Har ek lab par suboo suboo hai
Nishaan-e-manzil hai khoyaa khoyaa
LuTaa luTaa shahr-e-aarzoo hai
Bujhe bujhe hain dayaar logo
Salaam ai ashk-baar logo
Tumhaare dam se haree zameenen
Khushee se daaman-bharee masheenen
Hain us ke baa-vasf bheegee bheegee
Tumhaaree ashkon se aasteenen
Main sochtaa hoon rahengee kab tak
Sitam ke aage jhukee jabeenen
UThaao sar sogvaar logo
Salaam ai ashk-baar logo
Salam ai dil-figar logo
Salam ai ashk-bar logo
Tumhi ne apna watan bachaya
Tumhi ne baatil ka sar jhukaya
Bujha ke sham-e-hayat apni
Wafa ki rahon ko jagmagaya
Magar ye dil ro ke kah raha hai
Lahu tumhaara na rang laya
Wahi hai shab ka hisar logo
Salam ai ashk-bar logo
Gulon ki wadi lahu lahu hai
Fughan ki aawaz chaar-su hai
Hain is qadar tishna-kaam mai-kash
Har ek lab par subu subu hai
Nishan-e-manzil hai khoya khoya
LuTa luTa shahr-e-arzu hai
Bujhe bujhe hain dayar logo
Salam ai ashk-bar logo
Tumhaare dam se hari zaminen
KHushi se daman-bhari mashinen
Hain us ke ba-wasf bhigi bhigi
Tumhaari ashkon se aastinen
Main sochta hun rahengi kab tak
Sitam ke aage jhuki jabinen
UThao sar sogwar logo
Salam ai ashk-bar logo