sher hota hai ab mahiinon men
— Habib Jalib
Sher hota hai ab maheenon men
Zindagee Dhal ga.ee masheenon men
Pyaar kee raushnee nahin miltee
Un makaanon men un makeenon men
Dekh kar dostee kaa haath baDhaao
Saanp hote hain aasteenon men
Qahr kee aankh se na dekh in ko
Dil dhaDakte hain aabgeenon men
Aasmaanon kee khair ho yaarab
Ik nayaa azm hai zameenon men
Vo mohabbat nahin rahi 'jaalib'
Ham-safeeron men ham-nasheenon men
Sher hota hai ab mahinon mein
Zindagi Dhal gai mashinon mein
Pyar ki raushni nahin milti
Un makanon mein un makinon mein
Dekh kar dosti ka hath baDhao
Sanp hote hain aastinon mein
Qahr ki aankh se na dekh in ko
Dil dhaDakte hain aabginon mein
Aasmanon ki KHair ho yarab
Ek naya azm hai zaminon mein
Wo mohabbat nahin rahi 'jalib'
Ham-safiron mein ham-nashinon mein