terii aankhon kaa ajab turfa samaan dekhaa hai
— Habib Jalib
Teree aankhon kaa ajab turfa samaan dekhaa hai
Ek aalam tiree jaanib nigraan dekhaa hai
Kitne anvaar simaT aa.e hain in aankhon men
Ik tabassum tire honTon pe ravaan dekhaa hai
Ham ko aavaara o bekaar samajhne vaalo
Tum ne kab is but-e-kaafir ko javaan dekhaa hai
Sehn-e-gulshan men ki anjum kee tarab-gaahon men
Tum ko dekhaa hai kaheen jaane kahaan dekhaa hai
Vahee aavaara o deevaana o aashufta-mizaaj
Ham ne 'jaalib' ko sar-e-koo-e-butaan dekhaa hai
Teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai
Ek aalam teri jaanib nigran dekha hai
Kitne anwar simaT aae hain in aankhon mein
Ek tabassum tere honTon pe rawan dekha hai
Hum ko aawara o bekar samajhne walo
Tum ne kab is but-e-kafir ko jawan dekha hai
Sehn-e-gulshan mein ki anjum ki tarab-gahon mein
Tum ko dekha hai kahin jaane kahan dekha hai
Wahi aawara o diwana o aashufta-mizaj
Hum ne 'jalib' ko sar-e-ku-e-butan dekha hai