tez chalo
— Habib Jalib
Ye kah raha hai dil-e-be-qaraar tez chalo
Bahut udaas hain zanjeer o daar tez chalo
Jo thak ga.e hain unhen gard-e-raah rehne do
Kisee kaa ab na karo intizaar tez chalo
Khizaan kee shaam kahaan tak rahegee saaya-fagan
Bahut qareeb hai sub.h-e-bahaar tez chalo
Tumhee se khauf-zada hain zameen o zar vaale
Tumhee ho chashm-e-sitam-gar pe baar tez chalo
Karo khuloos o mohabbat ko rahnumaa apna
Naheen durust dilon men ghubaar tez chalo
Bahut hain ham men yahaan log guftugoo-pesha
Hai un kaa sirf yahee kaarobaar tez chalo
Khirad kee sust-ravee se kise milee manzil
Junoon hee ab to karo ikhtiyaar tez chalo
Ye kah raha hai dil-e-be-qarar tez chalo
Bahut udas hain zanjir o dar tez chalo
Jo thak gae hain unhen gard-e-rah rehne do
Kisi ka ab na karo intizar tez chalo
KHizan ki sham kahan tak rahegi saya-fagan
Bahut qarib hai subh-e-bahaar tez chalo
Tumhi se KHauf-zada hain zamin o zar wale
Tumhi ho chashm-e-sitam-gar pe bar tez chalo
Karo KHulus o mohabbat ko rahnuma apna
Nahin durust dilon mein ghubar tez chalo
Bahut hain hum mein yahan log guftugu-pesha
Hai un ka sirf yahi karobar tez chalo
KHirad ki sust-rawi se kise mili manzil
Junun hi ab to karo iKHtiyar tez chalo