us rauunat se wo jiite hain ki marnaa hi nahiin

Habib Jalib

Us ra.oonat se wo jiite hain ki marnaa hee nahin Takht par baiThe hain yuun jaise utarnaa hee nahin Yuun mah-o-anjum kee vaadee men uDe phirte hain wo Khaak ke zarron pe jaise paanv dharnaa hee nahin Un kaa da.avaa hai ki suraj bhee unhee kaa hai ghulaam Shab jo ham par aa.ee hai us ko guzarnaa hee nahin Kyaa ilaaj us kaa agar ho mudda.aa un kaa yahee Ehtimaam rang-o-boo gulshan men karnaa hee nahin Zulm se hain barsar-e-paikaar aazaadee-pasand Un pahaaDon men jahaan par koi jharnaa hee nahin Dil bhee un ke hain siyah khooraak-e-zindaan kee tarah Un se apna gham bayaan ab ham ko karnaa hee nahin Intihaa kar len sitam kee log abhee hain khvaab men Jaag uTThe jab log to un ko Thaharnaa hee nahin Us raunat se wo jite hain ki marna hi nahin TaKHt par baiThe hain yun jaise utarna hi nahin Yun mah-o-anjum ki wadi mein uDe phirte hain wo KHak ke zarron pe jaise panw dharna hi nahin Un ka dawa hai ki suraj bhi unhi ka hai ghulam Shab jo hum par aai hai us ko guzarna hi nahin Kya ilaj us ka agar ho muddaa un ka yahi Ehtimam rang-o-bu gulshan mein karna hi nahin Zulm se hain barsar-e-paikar aazadi-pasand Un pahaDon mein jahan par koi jharna hi nahin Dil bhi un ke hain siyah KHurak-e-zindan ki tarah Un se apna gham bayan ab hum ko karna hi nahin Intiha kar len sitam ki log abhi hain KHwab mein Jag uTThe jab log to un ko Thaharna hi nahin