uttho marne kaa haq istimaal karo jiine kaa haq saamraaj ne chhiin liyaa

Habib Jalib

Jiine kaa haq saamraaj ne chheen liyaa UTTho marne kaa haq istimaal karo Zillat ke jiine se marnaa behtar hai MiT jaao yaa qasr-e-sitam paamaal karo Saamraaj ke dost hamaare dushman hain Inhee se aansoo aa.hen aangan aangan hain Inhee se qatl-e-aam huaa aashaaon kaa Inhee se veeraan ummeedon kaa gulshan hai Bhuuk nang sab den inhee kee hai logo Bhuul ke bhee mat in se arz-e-haal karo Jiine kaa haq saamraaj ne chheen liyaa UTTho marne kaa haq istimaal karo Sub.h-o-shaam filisteen men Khoon bahtaa hai Saaya-e-marg men kab se insaan rahtaa hai Band karo ye baavardee ghunda-gardee Baat ye ab to ek zamaana kahtaa hai Zulm ke hote amn kahaan mumkin yaaro Ise miTaa kar jag men amn bahaal karo Jiine kaa haq saamraaj ne chheen liyaa UTTho marne kaa haq istimaal karo Jine ka haq samraj ne chhin liya UTTho marne ka haq istimal karo Zillat ke jine se marna behtar hai MiT jao ya qasr-e-sitam pamal karo Samraj ke dost hamare dushman hain Inhi se aansu aahen aangan aangan hain Inhi se qatl-e-am hua aashaon ka Inhi se viran ummidon ka gulshan hai Bhuk nang sab den inhi ki hai logo Bhul ke bhi mat in se arz-e-haal karo Jine ka haq samraj ne chhin liya UTTho marne ka haq istimal karo Subh-o-sham filistin mein KHun bahta hai Saya-e-marg mein kab se insan rehta hai Band karo ye bawardi ghunda-gardi Baat ye ab to ek zamana kahta hai Zulm ke hote amn kahan mumkin yaro Ise miTa kar jag mein amn bahaal karo Jine ka haq samraj ne chhin liya UTTho marne ka haq istimal karo