vahii haalaat hain faqiiron ke
— Habib Jalib
Vahee haalaat hain faqeeron ke
Din phire hain faqat vazeeron ke
Apnaa halqa hai halqa-e-zanjeer
Aur halqe hain sab ameeron ke
Har bilaaval hai des kaa maqrooz
Paanv nange hain benazeeron ke
Vahee ahl-e-wafa kee soorat-e-haal
Vaare nyaare hain be-zameeron ke
Saazishen hain vahee khilaaf-e-avaam
Mashvare hain vahee musheeron ke
BeDiyaan saamraaj kee hain vahee
Vahee din-raat hain aseeron ke
Wahi haalat hain faqiron ke
Din phire hain faqat waziron ke
Apna halqa hai halqa-e-zanjir
Aur halqe hain sab amiron ke
Har bilawal hai des ka maqruz
Panw nange hain benaziron ke
Wahi ahl-e-wafa ki surat-e-haal
Ware nyare hain be-zamiron ke
Sazishen hain wahi KHilaf-e-awam
Mashware hain wahi mushiron ke
BeDiyan samraj ki hain wahi
Wahi din-raat hain asiron ke