wo dekhne mujhe aanaa to chaahtaa hogaa
— Habib Jalib
Wo dekhne mujhe aanaa to chaahtaa hogaa
Magar zamaane kee baaton se Dar gaya hogaa
Use tha shauq bahut mujh ko achchhaa rakhne kaa
Ye shauq auron ko shaayad buraa lagaa hogaa
Kabhee na hadd-e-adab se baDhe the diida o dil
Vo mujh se kis liye kis baat par khafaa hogaa
Mujhe gumaan hai ye bhee yaqeen kee had tak
Kisee se bhee na wo meree tarah milaa hogaa
Kabhee kabhi to sitaaron kee Chaaon men wo bhee
Mire khayaal men kuch der jaagtaa hogaa
Vo us kaa saada o ma.asoom vaalihaana-pan
Kisee bhee jug men koi devtaa bhee kya hogaa
Naheen wo aayaa to 'jaalib' gila na kar us kaa
Na-jaane kya use darpesh mas.ala hogaa
Wo dekhne mujhe aana to chahta hoga
Magar zamane ki baaton se Dar gaya hoga
Use tha shauq bahut mujh ko achchha rakhne ka
Ye shauq auron ko shayad bura laga hoga
Kabhi na hadd-e-adab se baDhe the dida o dil
Wo mujh se kis liye kis baat par KHafa hoga
Mujhe guman hai ye bhi yaqin ki had tak
Kisi se bhi na wo meri tarah mila hoga
Kabhi kabhi to sitaron ki chhanw mein wo bhi
Mere KHayal mein kuch der jagta hoga
Wo us ka sada o masum walihana-pan
Kisi bhi jug mein koi dewta bhi kya hoga
Nahin wo aaya to 'jalib' gila na kar us ka
Na-jaane kya use darpesh masala hoga