ye soch kar na maail e fariyaad ham hue
— Habib Jalib
Ye soch kar na maa.il-e-fariyaad ham hue
Aabaad kab hue the ki barbaad ham hue
Hotaa hai shaad-kaam yahaan kaun baa-zameer
Naashaad ham hue to bahut shaad ham hue
Parvez ke jalaal se Takraa.e ham bhee hain
Ye aur baat hai ki na farhaad ham hue
Kuchh aaise bhaa ga.e hamen dunya ke dard-o-gham
Koo-e-butaan men bhoolee huee yaad ham hue
'jaalib' tamaam umr hamen ye gumaan raha
Us zulf ke khayaal se aazaad ham hue
Ye soch kar na mail-e-fariyaad hum hue
Aabaad kab hue the ki barbaad hum hue
Hota hai shad-kaam yahan kaun ba-zamir
Nashad hum hue to bahut shad hum hue
Parwez ke jalal se Takrae hum bhi hain
Ye aur baat hai ki na farhad hum hue
Kuchh aaise bha gae hamein duniya ke dard-o-gham
Ku-e-butan mein bhuli hui yaad hum hue
'jalib' tamam umr hamein ye guman raha
Us zulf ke KHayal se aazad hum hue