yuun wo zulmat se raha dast o garebaan yaaro
— Habib Jalib
Yuun wo zulmat se raha dast-o-garebaan yaaro
Us se larzaan the bahut shab ke nigahbaan yaaro
Us ne har-gaam diyaa hausla-e-taaza hamen
Vo na ik pal bhee raha ham se gurezaan yaaro
Us ne maanee na kabhi teergee-e-shab se shikast
Dil andheron men raha us kaa farozaan yaaro
Us ko har haal men jiine kee adaa aatee thee
Vo na haalaat se hota tha pareshaan yaaro
Us ne baatil se na taa-zeest kiyaa samjhauta
Dahr men us saa kahaan saahab-e-eemaan yaaro
Us ko thee kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat
Us saa hindoo na koi us saa musalmaan yaaro
Us ne sultaanee-e-jamhoor ke naghme likkhe
Ruuh shaahon kee rahi us se pareshaan yaaro
Apne ash.aar kee sham.on se ujaalaa kar ke
Kar gaya shab kaa safar kitnaa wo aasaan yaaro
Us ke geeton se zamaane ko sanvaaren yaaro
Rooh-e-'saahir' ko agar karnaa hai shaadaan yaaro
Yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro
Us se larzan the bahut shab ke nigahban yaro
Us ne har-gam diya hausla-e-taza hamein
Wo na ek pal bhi raha hum se gurezan yaro
Us ne mani na kabhi tirgi-e-shab se shikast
Dil andheron mein raha us ka farozan yaro
Us ko har haal mein jine ki ada aati thi
Wo na haalat se hota tha pareshan yaro
Us ne baatil se na ta-zist kiya samjhauta
Dahr mein us sa kahan sahab-e-iman yaro
Us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat
Us sa hindu na koi us sa musalman yaro
Us ne sultani-e-jamhur ke naghme likkhe
Ruh shahon ki rahi us se pareshan yaro
Apne ashaar ki shamon se ujala kar ke
Kar gaya shab ka safar kitna wo aasan yaro
Us ke giton se zamane ko sanwaren yaro
Ruh-e-'sahir' ko agar karna hai shadan yaro