zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
— Habib Jalib
Zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
Patthar ko guhar deevaar ko dar kargas ko humaa kya likhnaa
Ik hashr bapaa hai ghar men dam ghuTtaa hai gumbad-e-be-dar men
Ik shakhs ke haathon muddat se rusvaa hai vatan dunya-bhar men
Ai deeda-varo is zillat ko qismat kaa likhaa kya likhnaa
Zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
Ye ahl-e-hashm ye daaraa-o-jam sab naqsh bar-aab hain ai hamdam
MiT jaa.enge sab parvarda-e-shab ai ahl-e-wafa rah jaa.enge ham
Ho jaan kaa ziyaan par qaatil ko ma.asoom-adaa kya likhnaa
Zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
Logon pe hee ham ne jaan vaaree kee ham ne hee unhee kee gham-khvaaree
Hote hain to hon ye haath qalam shaa'ir na banenge darbaaree
Iblees-numaa insaanon kee ai dost sanaa kya likhnaa
Zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
Haq baat pe koDe aur zindaan baatil ke shikanje men hai ye jaan
Insaan hain ki sahme baiThe hain khoonkhaar darinde hain raqsaan
Is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko davaa kya likhnaa
Zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
Har shaam yahaan shaam-e-veeraan aaseb-zada raste galiyaan
Jis shahr kee dhun men nikle the wo shahr dil-e-barbaad kahaan
Sahraa ko chaman ban ko gulshan baadal ko ridaa kya likhnaa
Zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
Ai mere vatan ke fankaaro zulmat pe na apna fan vaaro
Ye mahl-saraaon ke baasee qaatil hain sabhee apne yaaro
Virse men hamen ye gham hai milaa is gham ko nayaa kya likhnaa
Zulmat ko ziyaa sarsar ko sabaa bande ko khuda kya likhnaa
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Patthar ko guhar diwar ko dar kargas ko huma kya likhna
Ek hashr bapa hai ghar mein dam ghuTta hai gumbad-e-be-dar mein
Ek shaKHs ke hathon muddat se ruswa hai watan duniya-bhar mein
Ai dida-waro is zillat ko qismat ka likha kya likhna
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Ye ahl-e-hashm ye dara-o-jam sab naqsh bar-ab hain ai hamdam
MiT jaenge sab parwarda-e-shab ai ahl-e-wafa rah jaenge hum
Ho jaan ka ziyan par qatil ko masum-ada kya likhna
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Logon pe hi hum ne jaan wari ki hum ne hi unhi ki gham-KHwari
Hote hain to hon ye hath qalam sha'ir na banenge darbari
Iblis-numa insanon ki ai dost sana kya likhna
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Haq baat pe koDe aur zindan baatil ke shikanje mein hai ye jaan
Insan hain ki sahme baiThe hain KHunKHar darinde hain raqsan
Is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko dawa kya likhna
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Har sham yahan sham-e-viran aaseb-zada raste galiyan
Jis shahr ki dhun mein nikle the wo shahr dil-e-barbaad kahan
Sahra ko chaman ban ko gulshan baadal ko rida kya likhna
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Ai mere watan ke fankaro zulmat pe na apna fan waro
Ye mahl-saraon ke basi qatil hain sabhi apne yaro
Wirse mein hamein ye gham hai mila is gham ko naya kya likhna
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna