aap hii se na jab rahaa matlab
— Hafeez Jaunpuri
Aap hee se na jab rahaa matlab
Phir raqeebon se mujh ko kyaa matlab
Aarzoo mere dil kee bar aa.e
Sab kaa puuraa kare khudaa matlab
Kar na mujh ko subuk raqeebon men
Yuun hansee men na to uDaa matlab
Ruk ga.ee baat taa-zabaan aa kar
Dil kaa dil hee men rah gayaa matlab
Zid hee zid shaikh o barhaman kee thee
Varna donon kaa ek thaa matlab
Meree ik baat men hain sau pahloo
Aur sab kaa judaa judaa matlab
Ghair kee aur is qadar taa'reef
Ham samajhte hain aap kaa matlab
Aglee baaton kaa zikr jaane do
Aaj is tazkire se kyaa matlab
Khush ho naa-fahm bhee samajh ke 'hafeez'
Saaf aisaa ho she'r kaa matlab