ajab zamaane kii gardishen hain khudaa hii bas yaad aa rahaa hai
— Hafeez Jaunpuri
Ajab zamaane kee gardishen hain khudaa hee bas yaad aa rahaa hai
Nazar na jis se milaate the ham vahee ab aankhen dikhaa rahaa hai
BaDhee hai aapas men bad-gumaanee maza mohabbat kaa aa rahaa hai
Ham us ke dil ko TaTolte hain to ham ko vo aazmaa rahaa hai
Ghar apnaa kartee hai naa-umeedee hamaare dil men ghazab hai dekhiyo
Ye vo makaan hai ki jis men barson umeedon kaa jamghaTaa rahaa hai
Badal gayaa hai mizaaj un kaa main apne is jazb-e-dil ke sadqe
Vahee shikaayat hai ab udhar se idhar jo pahle gila rahaa hai
Kisee kee jab aas TuuT jaa.e to khaak vo aasraa lagaa.e
Shikasta dil kar ke mujh ko zaalim nigaah ab kyaa milaa rahaa hai
Yahaan to tark-e-sharaab se khud dil-o-jigar phunk rahe hain vaa.iz
Sunaa ke dozakh kaa zikr-e-naahaq jale ko too bhee jalaa rahaa hai
Karoon na kyuun husn kaa nazaara sunoon na kyuun ishq kaa fasaana
Isee kaa to mashghala thaa barson isee kaa to valvala rahaa hai
Umiid jab had se baDh ga.ee ho to haasil us kaa hai naa-umeedee
Bhalaa na kyuun yaas daf.atan ho ki muddaton aasraa rahaa hai
Mujhe tavaqqo.a ho kyaa khabar kee zabaan hai qaasid kee haath bhar kee
Lagee havaa tak naheen udhar kee abhee se baaten banaa rahaa hai
Zaraa yahaan jis ne sar uThaayaa ki us ne neechaa use dikhaayaa
Koee bataa.e to ye zamaana kasee kaa bhee aashnaa rahaa hai
'hafeez' apnaa kamaal thaa ye ki jis ke haathon zavaal dekhaa
Falak ne jitnaa hamen baDhaayaa ziyaada us se ghaTaa rahaa hai