dil hai to tire vasl ke armaan bahut hain

Hafeez Jaunpuri

Dil hai to tire vasl ke armaan bahut hain Ye ghar jo salaamat hai to mehmaan bahut hai Main daad kaa khvaahaan naheen ai daavar-e-mahshar Aaj apne kiye par vo pashemaan bahut hain Dil le ke khilaune kee tarah toD na Daalen Dar mujh ko yahee hai ki vo naadaan bahut hain Vo phuul chaDhaate hain dabee jaatee hai turbat Ma.ashooq ke thoDe se bhee ehsaan bahut hain Tum ko na pasand aa.e na lo pher do mujh ko Is dil ke khareedaar miree jaan bahut hain DaanTaa kabhee ghamze ne kabhee naaz ne Tokaa Khalvat men bhee saath un ke nigahbaan bahut hain Khaalee bhee koee dil hai vahaan ishq-e-sanam se Kahne ko to ka.abe men musalmaan bahut hain Shaayad ye asar ho meree aah-e-saharee kaa Kuchh sub.h se vo aaj pareshaan bahut hain Kyaa shab ko 'hafeez' un se yaheen vasl kee Thahree Aaj aap ke ghar aish ke saamaan bahut hain