dil ko isii sabab se hai iztiraab shaayad
— Hafeez Jaunpuri
Dil ko isee sabab se hai iztiraab shaayad
Qaasid phiraa hai le kar khat kaa javaab shaayad
Aankhen chaDhee huee hain baaten hain bahkee bahkee
Aa.e ho tum kaheen se pee kar sharaab shaayad
Kyaa jaane kis havaa men itnaa ubhar rahaa hai
Hastee naheen samajhtaa apnee habaab shaayad
Mujh par jo vo sahar se is darja mehrbaan hain
Shab kee duaa huee hai kuchh mustajaab shaayad
Beemaar huun bandhee hai dhun raat-din safar kee
Ghurbat men apnee miTTee hogee kharaab shaayad
Pichhle se vasl kee shab aasaar sub.h ke hain
Niklegaa raat hee se aaj aaftaab shaayad
Aayaa bahut dinon par zaahid jo mai-kade men
Bhoolee huee thee us ko raah-e-savaab shaayad
Barsaat kee kamee se kyaa qadr ghaT ga.ee hai
Aisee kabhee bikee ho arzaan sharaab shaayad
Apne dimaagh men to ab ye basee huee hai
Behtar tire paseene se ho gulaab shaayad
Bazm-e-adoo men aa kar jis tarah ham jale hain
Dozakh men ho kisee par aisaa azaab shaayad
Ashkon se tar huee thee yuun raat sej un kee
Yaad aa gayaa thaa koee hangaam-e-khvaab shaayad
Ai shaikh too milaa kar dekh un se umr apnee
Hooron kaa Dhal gayaa ho ab to shabaab shaayad
Tauba 'hafeez' mai kaa paD jaa.e jis ko chaskaa
Phir us se marte dam tak chhooTe sharaab shaayad