haae ab kaun lagii dil kii bujhaane aae
— Hafeez Jaunpuri
Haa.e ab kaun lagee dil kee bujhaane aa.e
Jin se ummeed thee aur aag lagaane aa.e
Dard-mandon kee yuun hee karte hain hamdardee log
Khuub hans hans ke hamen aap rulaane aa.e
Khat men likhte hain ki fursat naheen aane kee hamen
Is kaa matlab to ye hai koee manaane aa.e
Aankh neechee na huee bazm-e-adoo men jaa kar
Ye DhiTaa.ee ki nazar ham se milaane aa.e
Ta.ane be-sabr yuun ke haa.e tashaffee ke evaz
Aur dikhte hue dil ko vo dukhaane aa.e
Aur to sab ke liye hai teree mahfil men jagah
Ham jo baiThen abhee darbaan uThaane aa.e
ChuTkiyaan lene ko pahloo men rahaa ek na ek
Too naheen to tere armaan sataane aa.e
Bekasee kaa to jalaa dil miree turbat pe 'hafeez'
Kyaa huaa vo na agar sham.a jalaane aa.e