isii khayaal se tark un kii chaah kar na sake
— Hafeez Jaunpuri
Isee khayaal se tark un kee chaah kar na sake
Kahenge log ki do din nibaah kar na sake
Hamen jo dekh liyaa jhuk ga.ee hayaa se aankh
Idhar-udhar sar-e-mahfil nigaah kar na sake
Khudaa ke saamne aayaa kuchh is adaa se vo shokh
Ki munh se uf bhee zaraa daad-khvaah kar na sake
Tire karam kaa bharosaa hee zaahidon ko naheen
Isee liye to ye khul kar nigaah kar na sake
Rahaa ye paas hamen aap kee nazaakat kaa
Ki dil kaa khuun huaa munh se aah kar na sake
Tumhen 'hafeez' se nafrat hai to ye fikr hai kyuun
Kisee haseen se vo rasm-o-raah kar na sake