likh de aamil koii aisaa taaviiz
— Hafeez Jaunpuri
Likh de aamil koee aisaa ta.aveez
Yaar ho jaa.e gale kaa ta.aveez
Kab musakhkhar ye haseen hote hain
Sab ye be-kaar hai ganDaa-ta.aveez
Na huaa yaar kaa ghussa ThanDaa
Baar-haa dho ke pilaayaa ta.aveez
Sar se gesoo kee balaa jaatee hai
Laa.e to radd-e-balaa kaa ta.aveez
Mar ke bhee dil kee taDap itnee hai
Shaq huaa meree lahad kaa ta.aveez
Har tarah hotee hai maayoosee jab
Log karte hain duaa yaa ta.aveez
Aarzoo khaak men dushman kee mile
Is liye dafn kiyaa thaa ta.aveez
Haath se apne jo likkhaa us ne
Ham ne us khat ko banaayaa ta.aveez
Jis se aayaa huaa dil ruk jaa.e
Koee aisaa bhee hai laTkaa ta.aveez
Dil paseejaa na kisee din un kaa
Roz likh likh ke jalaayaa ta.aveez
Kaam lo jazb-e-mohabbat se 'hafeez'
Naqsh kyaa chiiz hai kaisaa ta.aveez