na aa jaae kisii par dil kisii kaa
— Hafeez Jaunpuri
Na aa jaa.e kisee par dil kisee kaa
Na ho yaarab koee maa.il kisee kaa
Lagaa ik haath bhee kyaa dekhtaa hai
Kaheen karte hain Dar qaatil kisee kaa
Adaa se us ne do baaten banaa kar
Kisee kee jaan le lee dil kisee kaa
UThaa jab dard-e-pahloo dil pukaaraa
Naheen koee dam-e-mushkil kisee kaa
Abhee jiinaa paDaa kuchh din hamen aur
Talaa phir vaada-e-baatil kisee kaa
Bahut aahista chilman ko uThaanaa
Milen aankhen ki baiThaa dil kisee kaa
'hafeez' is tarah bharte ho jo aahen
Dukhaaoge magar tum dil kisee kaa