qaasid khilaaf e khat kahiin teraa bayaan na ho
— Hafeez Jaunpuri
Qaasid khilaaf-e-khat kaheen teraa bayaan na ho
Karnaa sambhal ke baat ki vo bad-gumaan na ho
Naalon kaa mere aaTh-pahr imtihaan na ho
Darte naheen ki ek zameen aasmaan na ho
Tohmat ho bhool-chook kee paighaambar ke sar
Shikvon kaa lutf kyaa jo koee darmiyaan na ho
Naalon se laD rahee hai sadaa-e-jaras jo aaj
Gum-karda-raah koee pas-e-kaarvaan na ho
Sau sun ke ek bhee na kahen ham bajaa durust
Us se ye kahiye aa.e ki jis ke zabaan na ho
Ab tak vo yaad hain miree aglee inaayaten
Bas bas hamaare haal pe too mehrbaan na ho
ChhooTee tiree galee to ye mujh ko yaqeen huaa
Jannat hai vo jahaan sitam-e-aasmaan na ho
Karte hain ek ek se meree shikaayaten
Sirf is khayaal se ki koee bad-gumaan na ho
Ye kyaa ki sar chaDhaa ke nazar se giraa diyaa
Ab mehrbaan hue ho to naa-mehrbaan na ho
Dil ko kahaan hai sadma-e-rashk-e-adoo kee taab
Sau imtihaan hain aur ye ik imtihaan na ho
Marnaa phaDak phaDak ke gavaaraa sahee magar
Itnaa to ho qafas men gham-e-aashiyaan na ho
Ka.abe men but-kade men kharaabaat men rahe
Insaan vo hai kaheen jo kisee par garaan na ho
Apnee bhee sar-guzasht hai ik-tarfa daastaan
Barson suno to nisf ye qissa bayaan na ho
Dil se hai dil ko raah ye sach hai agar 'hafeez'
Mumkin naheen khayaal yahaan ho vahaan na ho