shab e vasl hai bahs hujjat abas

Hafeez Jaunpuri

Shab-e-vasl hai bahs hujjat abas Ye shikve abas ye shikaayat abas Huaa un ko kab e'timaad-e-vafaa Jataate rahe ham mohabbat abas Yahaan ab to kuchh aur saamaan hai Vo aate hain bahr-ayaadat abas Naseebon se apne hai shikva hamen Karen kyuun kisee kee shikaayat abas Miraa haal sun kar vo hain be-qaraar Kiyaa kis ne zikr-e-mohabbat abas Falak mar-miTon se na rakh ye ghubaar MiTaa be-kason kee na turbat abas Sunoongaa tiree hosh men aa to luun Abhee se hai naaseh naseehat abas Ye parda haseenon ko laazim na thaa Chhupaatee hain ye achchhee soorat abas Vo pahle sulook aap ke yaad hain Mire haal par ab inaayat abas Takalluf men phir vo kahaan saadgee Ye aaraa.ish-e-husn-o-zeenat abas 'hafeez' is zameen men kaho sher kam Dikhaao na zor-e-tabee.at abas