sun ke mere ishq kii ruudaad ko
— Hafeez Jaunpuri
Sun ke mere ishq kee roodaad ko
Log bhoole qais ko farhaad ko
Ai nigaah-e-yaas ho teraa buraa
Too ne taDpaa hee diyaa jallaad ko
Baad mere uTh ga.ee qadr-e-sitam
Ab taraste hain haseen bedaad ko
Ik zaraa jhooTee tasallee hee sahee
Kuchh to samjhaa do dil-e-naashaad ko
Haa.e ye dard-e-jigar kis se kahoon
Kaun suntaa hai miree fariyaad ko
Jaa.enge duniyaa se sab kuchh chhoD kar
Haan magar le kar kisee kee yaad ko
Ab mujhe maanen na maanen ai 'hafeez'
Maante hain sab mire ustaad ko