ye sab kahne kii baaten hain ki aisaa ho nahiin saktaa
— Hafeez Jaunpuri
Ye sab kahne kee baaten hain ki aisaa ho naheen saktaa
Mohabbat men jo dil mil jaa.e phir kyaa ho naheen saktaa
Shikaayat ho naheen saktee ki shikvaa ho naheen saktaa
Zaraa saa chheD de koee to phir kyaa ho naheen saktaa
Buraa.ee kaa evaz hargiz bhalaa.ee ho naheen saktee
Buraa kah kar kisee ko koee achchhaa ho naheen saktaa
Hamaaraa un kaa qissa log sunte hain to kahte hain
Mazaa hai hashr tak yaksoo ye jhagDaa ho naheen saktaa
Karen teree shikaayat kyaa ki too ik dost hai apnaa
Kisee dushman kaa bhee ham se to shikvaa ho naheen saktaa
Ilaahee jazb-e-dil kee is kashish se baaz aayaa main
Koee parda-nasheen kahtaa hai parda ho naheen saktaa
'hafeez' un kee ghazal hai choT khaa baiThee hain jo dil par
Baghair is ke sukhan men lutf paidaa ho naheen saktaa