aashnaa kab ho hai ye zikr dil e shaad ke saath
— Hasrat Azimabadi
Aashnaa kab ho hai ye zikr dil-e-shaad ke saath
Lab ko nisbat hai mire zamzama-e-daad ke saath
Bas ki hai chashm-e-muravvat se bharaa girya-zaar
PaDaa phirtaa hai mire naala-o-fariyaad ke saath
Yaad us lutf-e-huzooree kaa karen kya haasil
Aa paDaa kaam faqat ab to tiree yaad ke saath
Zulm hai haq men hamaare tiraa ab tark-e-sitam
Dil ko hai uns saa ik us tiree bedaad ke saath
Zulf o kaakul se qavee husn kaa baazoo hai mudaam
Qafas o daam rahe jaise ki sayyaad ke saath
Khoon-e-naahaq raha parvez kee gardan pe vale
Lutf-e-sheereen ne sitam ye kiyaa farhaad ke saath
Raastee se bhalaa itnaa bhee guzarnaa kya hai
Nisbat is qad ko na do sarv ke shamshaad ke saath
Dast o paa kar ke main gum niklaa dabe-paanv kya
Milaa wo tifl mujhe raat jo ustaad ke saath
'hasrat' itnaa jo too maa.il hai giraftaaree kaa
Kuch adaavat hai tujhe khaatir-e-aazaad ke saath