aataa hoon jab us galii se sau sau khvaarii khiinch kar

Hasrat Azimabadi

Aataa hoon jab us galee se sau sau khvaaree kheench kar Phir vaheen le jaa.e mujh ko be-qaraaree kheench kar Pahunchaa hai ab to nihaayat ko hamaaraa haal-e-zaar Laa use jis-tis tarah taaseer-e-zaaree kheench kar Koh-e-gham rakhtee hai dil par is khiraam-e-naaz se Khajlat-e-raftaar-e-kabk-e-kohsaaree kheench kar Kis ke shor-e-ishq se yuun rotaa rahtaa hai sadaa Naala o fariyaad ye abr-e-bahaaree kheench kar Baandhoon hoon vaarastagee kaa dil men apne jab khayaal Baandh le jaa.en hamen zulfen tumhaaree kheench kar Kal jo too ghar se na niklaa uTh gaya kar ke duaa Sub.h se taa-shaam main kya intizaaree kheench kar Gaaliyaan de maar le yaa qatl kar mukhtaar hai Laa.ee ab to yaan mujhe be-ikhtiyaaree kheench kar Saaqiyaa paiham pilaa de mujh ko maalaa-maal jaam Aayaa hoon yaan main azaab-e-hoshyaaree kheench kar 'hasrat' us kee bazm ke jaane se rakh mujh ko muaaf Muft men ro.egaa vaan se sharmsaaree kheench kar