be wafa go mile na tuu mujh ko

Hasrat Azimabadi

Be-wafa go mile na too mujh ko Bas hai teree ye aarzoo mujh ko Gardish-e-charkh se nahin pardaa Sar pe chahiye wo khaak-e-koo mujh ko Zaahidaa hai miree namaaz niyaaz Khoon-e-dil ronaa hai vazoo mujh ko Naasehaa jaa ki zikr-e-ishq sivaa Khush nahin aatee guftugoo mujh ko Ban raha hoon main ishq kaa mazloom Na sataa ai raqeeb too mujh ko Tujh se chaahoon hoon naaz-bardaaree Ho ga.ee Kuch tiree see khoo mujh ko Sohbat-e-ghair se huaa makrooh BaiThnaa tere roo-ba-roo mujh ko Tujh se mahroom yuun rahoon sad-haif Kya kya dil men thiin aarzoo mujh ko Yaar harjaa.ee ne kiyaa 'hasrat' Dar-ba-dar aur koo-ba-koo mujh ko