daaman hai meraa dasht kaa daamaan duusraa
— Hasrat Azimabadi
Daaman hai meraa dasht kaa daamaan doosraa
Meree tarah na phaaDe garebaan doosraa
Yak-rang hoon main us gul-e-ra.anaa ke ishq men
Bulbul na hoon ki DhoonDoon gulsitaan doosraa
Thaa hee gham-e-firaaq milaa us men dard-e-rashk
Muflis ke ghar men aayaa ye mehmaan doosraa
Teree hayaa-e-chashm saa dekhaa nahin raqeeb
Yaan ehtiyaaj kya hai nigahbaan doosraa
Uryaan-tanon ke sar pe tiree khaak-e-koo rahe
Dar-kaarvaan nahin sar-o-saamaan doosraa
Kiije zameer-e-khaak ko aadam kee chhaan agar
Us shakl kaa ban aave na insaan doosraa
Joo-ul-baqar rakhe ye shaikh-e-shikam-parast
Ik khvaan khaa kahe hai kahaan khvaan doosraa
Sair-e-ajab rakhe hai tiree jalva-gaah-e-naaz
Is lutf kaa kahaan hai khyaabaan doosraa
Naqd-e-dil us ko denaa hai 'hasrat' savaab o farz
Us zulf saa na hogaa pareshaan doosraa