gar ishq se vaaqif mare mahbuub na hota

Hasrat Azimabadi

Gar ishq se vaaqif mare mahboob na hota Hota na main mahjoor wo mahjoob na hota Aafat-talab apne jo dil o diida na hote Taalib main tiraa too miraa matloob na hota Meree see tarah ishq se hota kabhi betaab E.ajaaz-numaa sabr kaa ayyoob na hota Naame kaa mire ye thaa javaab ai mah-e-nau-khat Ye qaa.eda-e-qaasid-o-maktoob na hota Targheeb-e-wafa karnaa tujhe mujh pe ravaa thaa Gar sheva jafaa kaa tiraa marghoob na hota 'hasrat' na agar us kaa qad o zulf banaate Dunya men kaheen fitna-o-aashob na hota