hai rashk e vasl se gam e dildaar hi bhalaa
— Hasrat Azimabadi
Hai rashk-e-vasl se gham-e-dildaar hee bhalaa
Raahat se aisi ham ko wo dil-aazaar hee bhalaa
Dunya men yaaro yaar-e-vafaadaar hee nahin
Aur jo na ho to rahnaa hai be-yaar hee bhalaa
Ma.ashooq kaa nazaara mayassar ho yaa na ho
Aashiq hamesha taalib-e-deedaar hee bhalaa
Zaaree pe meree rahm bhee kar aa khuda ko maan
Kaafir rahegaa ham se too bezaar hee bhalaa
Atvaar-e-bad hai ghair se khulta mire huzoor
Is ke evaz na kar too hamen pyaar hee bhalaa
Zakhmon se gham ke teraa kaleja to chhil gaya
Bulbul hai aise gul se tujhe khaar hee bhalaa
Ik jur.a dard-e-mai pe ho itnaa na talkh-o-tund
Saaqee main aise mast se hoshyaar hee bhalaa
'hasrat' buraa kiyaa main uThaayaa dil us se kyuun
Dildaar gar na thaa to dil-aazaar hee bhalaa