hai yaad tujh se meraa wo sharh e haal denaa
— Hasrat Azimabadi
Hai yaad tujh se meraa wo sharh-e-haal denaa
Aur sun ke teraa us ko hans hans ke Taal denaa
Kar kar ke yaad us kee behaal hoon nihaayat
Fursat zaraa too mujh ko too ai khayaal denaa
Us zulf-e-kaj ke 'uqde hargiz khule na mujh par
Kyuun us ko shaana kar ke ek ek baal denaa
Main mudda'aa ko apne mahmil kahoon hoon tujh se
Gosh-e-dil apna eedhar saahib-jamaal denaa
Is 'umr bhar men tujh se maangaa hai ek bosa
Khaalee paDe na pyaare meraa savaal denaa
Ham se rukhaa.iyaan aur munh jhulse mudda'ee kaa
Bosa pe bosa har dam duun be-savaal denaa
Yaa-rab kisee pe hargiz 'aashiq koi na ho jo
Dil haath dilbaron ke hai bad-ma.aal denaa
Wo mehrbaan ki ham ko altaaf-e-bar-mahal se
Paas apne se thaa us ko uThne muhaal denaa
Dekhe hai duur se to kahtaa hai be-muravvat
Ye kaun aa ghusaa hai is ko nikaal denaa
Qaaboo hai teraa 'hasrat' mat chhoD mudda'ee ko
Dushman ko maslahat niin hargiz majaal denaa