ham ishq sivaa kam hain kisi naam se vaaqif
— Hasrat Azimabadi
Ham 'ishq sivaa kam hain kisee naam se vaaqif
Na kufr ke mahram hain na islaam se vaaqif
Talqeen kare 'arz-e-tamannaa hamen us se
Mahram nahin hai us but-e-khud-kaam se vaaqif
Wo daur-e-visaal aah kidhar hai ki ham aur wo
Dunya men na the naama-o-paighaam se vaaqif
Kya poochho ho ham se ravish-e-baagh-o-chaman ko
Ham to rahe kunj-e-qafas-o-daam se vaaqif
Sheereenee-e-bosa se mazaaq us kaa ho phir talkh
'aashiq jo huaa lazzat-e-dushnaam se vaaqif
Bad-naam na kar 'ishq ko jaa kaam kar apna
Hai ahl-e-havas too nahin is kaam se vaaqif
Aaghaaz-e-mohabbat ke maze ne kiyaa ghaafil
Ab tak na the ham us ke bad-anjaam se vaaqif