har ghadii mat rooth us se pher pal men mil na jaa

Hasrat Azimabadi

Har ghaDee mat rooth us se pher pal men mil na jaa Gar bhalaa maanas hai us kooche men too ai dil na jaa Avval-e-ishq un buton kaa lutf hai daam-e-fareb Us kee mehr-o-dilbaree par ai dil-e-maa.il na jaa Tegh-e-keen se khaak-o-khoon men kar liyaa haa.e mujhe Raqs-e-bismil kaa tamaashaa dekh ai qaatil na jaa Ham-saree kaa us qad-e-mauzoon se too da.avaa na kar Apnee had se baahar ai shamshaad-e-paadar-gil na jaa Ishq ke koo men ki hai jaa-e-malaamat be-khabar Aanaa phir vaan se salaamat hai bahut mushkil na jaa Zaahidaa rindon kee gustaakhee ko khaatir men na laa Ham se deevaanon kee baaton par too ai aaqil na jaa Haath maltaa hee raha 'hasrat' dil us ko de ke haif Haath se aisi tarah yaa-rab kisee kaa dil na jaa