ishq men gul ke jo naalaan bulbul e gamnaak hai

Hasrat Azimabadi

'ishq men gul ke jo naalaan bulbul-e-ghamnaak hai Gul bhee us ke gham men dekho kya garebaan-chaak hai Daagh-bar-daagh ashk-bar-ashk apnee chashm o dil men hain Kya balaa gul-khez ai yaaro ye musht-e-khaak hai Ai khizar jaaon kahaan main koocha-e-mai-khaana chhoD Khush-dilee kaa maulid o manshaa ye khaak-e-paak hai Gharq-sar-taa-paa hoon bahr-e-be-karaan-e-khoon men main Aashnaa poochhe hai to ye chashm kyuun namnaak hai Sarv kee nisbat se us qadd-e-balaa baalaa ko kya Khushk chob-e-paa bigul ye wo qad-e-chaalaak hai Haa.e kin aankhon se dekhoon us rukh-e-raushan pe khat Chashma-e-khursheed men ye kya khas-o-khaashaak hai Kaafir o momin ko riqqat gham men hai 'hasrat' ke haa.e Kuch khuda kaa Dar bhee tujh ko ai but-e-bebaak hai